Sahih Bukhari – the authentic book
Sahih Bukhari is one of the most reliable and authentic books of Hadith. Sahih Bukhari is narrated by Imam Bukhari which consist of 7558 Hadith and is arranged into 99 chapters. Here is a collection of some of the Hadith from Sahih Bukhari. Readers can learn the Sunnah of Prophet Muhammad (peace be upon him) by reading the Hadith in Urdu and Roman Urdu translation.
Quran Majeed us waqt tak parho jab tak us main dil lagay, jab jee uchaat honay lagay tou parhna band kar do
mujh se Rasool ul Allah (SAW) ne farmaya k mujhay Quran Majeed parh kar sunao, main ne arz kiya main Aap (SAW) ko Quran Sunaoun Aap (SAW) par to Quran nazil hota he, Nabi Kareem (SAW) ne farmaya k main Quran Majeed dosray se sunna mahboob rakhta houn
Sura Al Baqr k aakhar ke do ayatoun ko jo shaks raat main parh lay ga woh us k liye kaafi houn gee
tum main se bihter woh he jo Quran Majeed parhay or parhay
rashk to bus do aadmiou par ho sakta he aik to us per jisay Allah ne Quran Majeed ka ilm diya or woh us k saath raat ki gharyoun main khara ho kar nimaz partha raha or dosra aadmi woh jisay Allah Tala ne maal diya or woh usay mohtajoun per raat din khairaat karta raha
kisi insaan ne us shaks se behter rozi nahe khai jo khud apnay hatou say kama kar khata he Allah k Nabi Dawood (AS) bhe apnay haath say kaam kar k rozi khaya kartay thay
jo shaks apne rozi me kushadgi chahta ho ya umr k drazi chahta ho to usay chahye k sila rahme kare
Logoun par aik aisa zmana aiye ga k insaan koi parwah nahe kare ga k jo us ne hasil kiya hay woh halal se hay ya haram se hay
kuch logoun nay arz kiya Ya Rasool Allah (SAW) bhut say log humaray yaha gosht latay hain. Hume yeh maloom nahe k Allah ka naam unhoun nay zibha k waqt liya tha ya nahe? es per Rasool (SAW) ne farmaya k tum Bismillah perh k usay kha liya karo
Nabi Kareem (SAW) apny wafat tak brabar ramzan k aakhri ashray main eitkaaf kartay rahay or Aap (SAW) k baad Aap (SAW) k azwaj mutahiraat eitkaaf karti rahee
kasm hai us zaat ki jus k haath main meri jaan he, tum main say koi bhe emandaar na ho ga jab tak main us k walid or aulaad say bhe zyada us ka mehboob na ban jaoun (Sahih Bukhari)
tum main se kio shaks emandaar na ho ga jab tak apnay bhai ke liye woh na chahe jo apnay nafs ke liye chahta he (Sahih Bukhari)
aik din aik aadmi ne Nabi Kareem (SAW) se poocha ke kon sa Islam behtar he? farmaya ke tum khana khilao, or jis ko pehchano us ko bhe or jis ko na pehchano us ko bhe, algarz sab ko salam karo
logo ne poocha Ya Rasool Allah (SAW) kon sa Islam afzal he? to Nabi Kareem (SAW) ne farmaya woh jis k mannay walay muslamano ki zban or haath se saray musilmaan slamti main rahain (Sahih Bukhari)
tamam amaal ka daromdar niyyat par hay or har amal ka nateeja har insaan ko us ke niyyat ke mutabiq he milay ga. pas jis ke hijrat (tarq-e-watan) dolatt dunya hasil karnay ke liye ho ya kisi orat se shadi ke garz ho. pas us ke hijrat in he cheezo ke liye ho gi jin kay hasil karnay ki niyyat say us nay hijrat ke hay (Sahih Bukhari)